Sunday, March 29, 2009

Jaate hua Lamhe












Kaash hum in jaate hua lamho ko rok paate,
toh phir hume shikaayat koi na hoti..........
ya phir mausam ki tarah ye lamhe bhi lot aate,
toh phir hume shikaayat koi na hoti............

Koi jaa ke kahe de is guzarate samaa se,
ki humko iski ek aadat si ho gayi hai,
ye aadat padne se pehle ye lamhe laut jaate,
toh phir hume shikaayat koi naa hoti........
Kaash hum in jaate hua lamho ko rok paate,
toh phir hume shikaayat koi na hoti..........

kaise kahe ki kaun saa jaado basa hai inme,
kaise kahe ki kaun saa raaz chupa hai inme,
is jaado ke nashe or is raaz ki gahrai tak agar hum pahuch jaate
toh phir hume shikayat koi naa hoti.........
Kaash hum in jaate hua lamho ko rok paate,
toh phir hume shikaayat koi na hoti..........

humaare or in lamho ke beech badh rahi hai doori,
par hume in lamho se kehna hai kuch bahut zaroori,
zindagi me gar ye naa aate toh zindagi rah jaati adhoori,
zindagi ke is adhoorepan ko hum poora kar paate,
toh phir hume shikaayat koi naa hoti........
Kaash hum in jaate hua lamho ko rok paate,
toh phir hume shikaayat koi na hoti..........