Tuesday, July 30, 2019

Mein Likhna chahti hu

Mein aksar Apne apne Paris ke hotel ke chotte se room me baithkar ye sochne lagti thi ki mei yaha kya kar rahi hu.... Paris a city of Love, Romance, Art , culture, fashion...... But for me just another city jaha mujhe logo ko ghumana hai and waha se nikal jaana hai.....
Traveling world mera ek dream tha jo poora ho gaya aur ho raha hai..... par sapna jab poora ho jaata hai toh kitna chotta sa lagne lagta hai. Yahi toh Manav ka pravarti hai.... jo mil jaye wo bas tinke samaan nazar aata hai aur phir dil nikal padta hai naye sapno ki talaash me. Infact dil ko zyad door jaana bhi nahi padta yaha tak aate aate hi wo ek nate sapne ko paal chuka hota hai.....
Mein bhi naya sapna kab se dekh chuki hu ...... khair sapne dekhna and unko poore karne ki kaushish karna hi zindagi hai, warna jee toh sabhi lete hai usme khaas baat kya hai.
Sapno ka silsila toh chalta hi rahega par sahi mayno me kahu toh mein bahut kuch karna chahti hu......Mein likhna chahti hu, apne dil ki baatien, mein gaana chahti hu, nachna chahti hu, sabke saath, dosto ke saath, pariwaar ke saath.......
Mein pooraane dosto ko ek jagah bulaakr unke saath chai peena chahti hu.....