Sunday, February 28, 2010

Chahat

Hum unhe Itna chahte hain ki hum khud ko bhula bathe,
Apne hi aansuoon me, apne ko duba bathe,
Isse pehle ki Hum unhe apni muhabbat ka izhaar karte,
wo apni muhabbat ka fasana hume suna bathe.

Aaj Hum khud se nafart karne lage hain,
Unki rahon me jeete the ab marne lage hain,
yun toh hum chahete hain unhe bahut,
Par is chahat ke anjaam se darne lage hain

Ye kaisa ehsaas hai, jo hume chodta hi nahi,
Dil tootne ka intazar hai,par dil todta hi nahi,
Wo toh hans kar bayan kar gaye apne yaar ka kissa,
Par hamara diwanapan hai ki rukh modta hi nahi.

Hum us shaks ko palko pe bithate rahe is kadar,
Ki uski bewafai ka humpe ab tak na hua asar,
lekin jab is bewafai se wakif hua hum,
Ye jakhm bahut gahara ho chuka tha,
aur is gahari me mera astitve kho chuka tha,
Aaj apne us aatitve ki talash hai mujhe,
Uski bewafai ka bhi ehsaas hai mujhe,
par wo kahate hai ki ye bewafai nahi sachaai hai,
par shayad hume hi zara der mei samajh aaye hai,
Gum is baat ka nahi ki der ho gayi hume samajhne me,
par gum is baat ka hai ki hum ab bhi lage hein uljahne me,
Kahi na kahi aaj bhi dil se ye awaaz aati hai,
Ki bas tu hi, aur sirf tu hi mera saathi hai,
Wo hastein hien hamare is andaaz pe,
aur hum bathe hain aaj bhi is aas pe,
ki ek din hum bhi tumhe bhula denge,
tumhare har ehsaas ko daba denge,
Par dar toh ye hai ki uss ek din se kaise mil payaenage hum.

No comments: